Exam Me Jyada Marks Kaise Laye ? | Exam me Jyada Marks Lane ke Best Tips
Hello friends,, Aap sab Is Article par pahuch gaye iska matlab yeh hai ki Aap std.10th or 12th ke Ya fir koi Students ho. Yahan ham aapko Batane wale hai ki Exam Me sabse Jyada Marks kaise Laye? Aap ne dekha hoga ki School me aap ke sath padhane wale kai bar kamjor students bhi exam me achhe marks leke aate hai,, or aap unse jyada smart hokar bhi achhe ank la sakte nahi ho.. fir aap sochte hoge ki hamne itni jyada mahenat ki fir bhi ham kyo usse piche rah gaye? Kya hamne achha paper nahi likha tha?? Hamne exam me kya kuch galat likh liya? Esa sabkuch hamlog sochte hai... Aaiye is Article me ham aapko Exam me sabse jyada marks kaise la sake uski best tips janenge...
Exam me Sabse Jyada Marks Lane ki Best Tips- Exam Tips
1. Question Paper ko Pura Padhe..
Exam Dete vakht Exam Room me jab aapke pas Exam Question paper aaye tab aapko sabse pahele use achhi tarah se padhna chahiye.. Jab aap Questions paper ko padh lenge tab aapko malum ho jayega ki puche gaye Savalo me se kitne saval hai jo aap achhe se likh sakte hai.. or kitne aise bhi saval hoge jo aapki samaj me nahi honge.. kai baar aisa hota hai ki Question paper padhne se ham dar jate hai.. Are Yah paper to bahut kathin hai? mai kaise likhunga? Dekho... aise ghabrane ki koi baat nahi hai.. Kuch bhi ansambhav nahi hai,, kuch bhi kathin nahi hota,, Aapne jo padha hoga usme se hi aata hai so kuch bhi kathin nahi hota. Question paper padhne se aapki memory revised hote hai. Aapke dimag me jo school me padha hai woh sab aapki najar ke samne aa jata hai,, kuch bate aapko pata nahi hogi woh bhi aapke samne yaad aane lagegi.. Ab aapke pure vishwas ke sath paper likhne ki saruaat karni hai.. ab kahase paper likhne ki saruaat karenge janiye.
2. Exam Me ANSWERSHEET main likhne ki suruaat kaise kare?
Sabse pahele achha answer likhne ka ek or bhi uddeshya hai ki Answer sheet ka jab Mulyankan kiya jata hai tab Parikshak ke dimag me aapke lie aapke Uttar ke lie aek prabhavi chhap ban jati hai,, aur Exam paper me jyada ank arjit karne me aapko isse madad mil sakti hai.. aapne aek baat to suni hi hogi ki "First Impression is your Last impression"
3. Prashn ko Sahi Samaj ke Uttar likhe
Yeh bhi baat dhyan me rakhe ki agar upar diya prashna do yaa do se adhik marks ke liye ho to uska answer jyada shabdo me or Jyada vakyo me likhne ki jarurat rahengi. Kyonki Aapko yeh samajna hoga ki Iske ank kitne nirdharit kie gaye hain.
4. Question Ke Uttar Likhne ka Tarika
Yaha Exam Tips mai hum aapko uttar likhne ke tarike bata rahe hain. Jo Questions bade lambe hai or jiske ank jyada hote hain uske answer jyada vakyo me dene ki jarurat hoti hai. Aise Question se students ki yaad shakti se jyada vichar shakti ka parixan kiya jata hai. isme aapko apni sarjanatmak dikhani hoti hain. Jaise ki Nibandh likhna, Kahani Ka Lekhan Karna, Kisi bhi vishay ka Vistar ke spasht karna Aise questions...
Aise Question ka javab saruaat ke tin yaa char vakya aise hone chahiye jo parikshak padhne ke baad aapke pure jawab ka aakalan ho jaye. Matlab ki Aap is javab me kya likhna chahte hai iska sargarbhit nirdeshit ho jaye. Iske baad aapko uttar ka vistar karne hai or kramash vistar se uttar ko likhte jana hai. iske baad answer ke end me bhi jaise saruaat me aapne satik vakya se uttar likha tha waise hi Last me bhi achhe se Uttar likhkar prashna ka javab pura karna hai.